shehar gum-sum raaste sunsaan ghar khaamosh hain | शहर गुम-सुम रास्ते सुनसान घर ख़ामोश हैं - Azhar Naqvi

shehar gum-sum raaste sunsaan ghar khaamosh hain
kya bala utri hai kyun deewar-o-dar khaamosh hain

vo khulen to hum se raaz-e-dasht-e-vahshat kuch khule
laut kar kuch log aaye hain magar khaamosh hain

ho gaya gharkaab suraj aur phir ab us ke ba'ad
sahilon par ret udti hai bhanwar khaamosh hain

manzilon ke khwaab de kar hum yahan laaye gaye
ab yahan tak aa gaye to raahbar khaamosh hain

dukh safar ka hai ki apnon se bichhad jaane ka gham
kya sabab hai waqt-e-rukhsat hum-safar khaamosh hain

kal shajar ki guftugoo sunte the aur hairat mein the
ab parinde bolte hain aur shajar khaamosh hain

jab se azhar khaal-o-khud ki baat logon mein chali
aaine chup-chaap hain aaina-gar khaamosh hain

शहर गुम-सुम रास्ते सुनसान घर ख़ामोश हैं
क्या बला उतरी है क्यूँ दीवार-ओ-दर ख़ामोश हैं

वो खुलें तो हम से राज़-ए-दश्त-ए-वहशत कुछ खुले
लौट कर कुछ लोग आए हैं मगर ख़ामोश हैं

हो गया ग़र्क़ाब सूरज और फिर अब उस के बा'द
साहिलों पर रेत उड़ती है भँवर ख़ामोश हैं

मंज़िलों के ख़्वाब दे कर हम यहाँ लाए गए
अब यहाँ तक आ गए तो राहबर ख़ामोश हैं

दुख सफ़र का है कि अपनों से बिछड़ जाने का ग़म
क्या सबब है वक़्त-ए-रुख़्सत हम-सफ़र ख़ामोश हैं

कल शजर की गुफ़्तुगू सुनते थे और हैरत में थे
अब परिंदे बोलते हैं और शजर ख़ामोश हैं

जब से 'अज़हर' ख़ाल-ओ-ख़द की बात लोगों में चली
आइने चुप-चाप हैं आईना-गर ख़ामोश हैं

- Azhar Naqvi
1 Like

Aadmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhar Naqvi

As you were reading Shayari by Azhar Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Azhar Naqvi

Similar Moods

As you were reading Aadmi Shayari Shayari