sar-e-sehra-e-jaan hum chaak-damaani bhi karte hain | सर-ए-सहरा-ए-जाँ हम चाक-दामानी भी करते हैं - Aziz Nabeel

sar-e-sehra-e-jaan hum chaak-damaani bhi karte hain
zaroorat aa pade to ret ko paani bhi karte hain

kabhi dariya utha laate hain apni tooti kashti mein
kabhi ik qatra-e-shabnam se tughyaani bhi karte hain

kabhi aisa ki aankhon mein nahin rakhte hain koi khwaab
kabhi yun hai ki khwaabon ki faraavani bhi karte hain

hamesha aap ka har hukm sar aankhon pe rakhte hain
magar ye yaad rakhiyega ki man-maani bhi karte hain

miyaan tum dost ban kar jo hamaare saath karte ho
wahi sab kuch hamaare dushman-e-jaani bhi karte hain

ye kya qaateel hain pehle qatl karte hain mohabbat ka
phir us ke b'ad izhaar-e-pashemaani bhi karte hain

tujhe taameer kar lena to ik aasaan sa fan hai
rifaqat ke mahal hum teri darbaani bhi karte hain

सर-ए-सहरा-ए-जाँ हम चाक-दामानी भी करते हैं
ज़रूरत आ पड़े तो रेत को पानी भी करते हैं

कभी दरिया उठा लाते हैं अपनी टूटी कश्ती में
कभी इक क़तरा-ए-शबनम से तुग़्यानी भी करते हैं

कभी ऐसा कि आँखों में नहीं रखते हैं कोई ख़्वाब
कभी यूँ है कि ख़्वाबों की फ़रावानी भी करते हैं

हमेशा आप का हर हुक्म सर आँखों पे रखते हैं
मगर ये याद रखिएगा कि मन-मानी भी करते हैं

मियाँ तुम दोस्त बन कर जो हमारे साथ करते हो
वही सब कुछ हमारे दुश्मन-ए-जानी भी करते हैं

ये क्या क़ातिल हैं, पहले क़त्ल करते हैं मोहब्बत का
फिर उस के ब'अद इज़हार-ए-पशेमानी भी करते हैं

तुझे तामीर कर लेना तो इक आसान सा फ़न है
रिफ़ाक़त के महल! हम तेरी दरबानी भी करते हैं

- Aziz Nabeel
0 Likes

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Aziz Nabeel

As you were reading Shayari by Aziz Nabeel

Similar Writers

our suggestion based on Aziz Nabeel

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari