laakhon sadme dheron gham phir bhi nahin hain aankhen nam | लाखों सदमें ढेरों ग़म, फिर भी नहीं हैं आंखें नम

  - Azm Shakri

laakhon sadme dheron gham phir bhi nahin hain aankhen nam
ik muddat se roye nahin kya patthar ke ho gaye ham

yoon palkon pe hain aansu jaise phoolon par shabnam
khwaab mein vo aa jaate hain itna to rakhte hain bharam

ham us basti mein hain jahaan dhoop ziyaada saaye kam
ab zakhamon mein taab nahin ab kyun laaye ho marham

लाखों सदमें ढेरों ग़म, फिर भी नहीं हैं आंखें नम
इक मुद्दत से रोए नहीं, क्या पत्थर के हो गए हम

यूं पलकों पे हैं आँसू, जैसे फूलों पर शबनम
ख़्वाब में वो आ जाते हैं, इतना तो रखते हैं भरम

हम उस बस्ती में हैं जहाँ, धूप ज़ियादा साये कम
अब ज़ख्मों में ताब नहीं, अब क्यों लाए हो मरहम

  - Azm Shakri

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azm Shakri

As you were reading Shayari by Azm Shakri

Similar Writers

our suggestion based on Azm Shakri

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari