hote hote chashm se aaj ashk-baari rah gai | होते होते चश्म से आज अश्क-बारी रह गई

  - Bahadur Shah Zafar

hote hote chashm se aaj ashk-baari rah gai
aabroo baare tiri abr-e-bahaari rah gai

aate aate is taraf un ki sawaari rah gai
dil ki dil mein aarzoo-e-jaan-nisaari rah gai

ham ko khatra tha ki logon mein tha charcha aur kuchh
baat khat aane se tere par hamaari rah gai

tukde tukde ho ke ud jaayega sab sang-e-mazaar
dil mein ba'd-az-marg kuchh gar be-qaraari rah gai

itna miliye khaak mein jo khaak mein dhunde koi
khaaksaari khaak ki gar khaaksaari rah gai

aao gar aana hai kyun gin gin ke rakhte ho qadam
aur koi dam ki hai yaa dam-shumaari rah gai

ho gaya jis din se apne dil par us ko ikhtiyaar
ikhtiyaar apna gaya be-ikhtiyaari rah gai

jab qadam us kaafir-e-bad-kesh ki jaanib badhe
door pahunchen sau qadam parhez-gaari rah gai

kheenchte hi teg ada ke dam hua apna hawa
aah dil mein aarzoo-e-zakhm-e-kaari rah gai

aur to gham-khwaar saare kar chuke gham-khwaargi
ab faqat hai ek gham ki gham-gusaari rah gai

shikwa ayyaari ka yaaron se baja hai ai zafar
is zamaane mein yahi hai rasm-e-yaari rah gai

होते होते चश्म से आज अश्क-बारी रह गई
आबरू बारे तिरी अब्र-ए-बहारी रह गई

आते आते इस तरफ़ उन की सवारी रह गई
दिल की दिल में आरज़ू-ए-जाँ-निसारी रह गई

हम को ख़तरा था कि लोगों में था चर्चा और कुछ
बात ख़त आने से तेरे पर हमारी रह गई

टुकड़े टुकड़े हो के उड़ जाएगा सब संग-ए-मज़ार
दिल में बा'द-अज़-मर्ग कुछ गर बे-क़रारी रह गई

इतना मिलिए ख़ाक में जो ख़ाक में ढूँडे कोई
ख़ाकसारी ख़ाक की गर ख़ाकसारी रह गई

आओ गर आना है क्यूँ गिन गिन के रखते हो क़दम
और कोई दम की है याँ दम-शुमारी रह गई

हो गया जिस दिन से अपने दिल पर उस को इख़्तियार
इख़्तियार अपना गया बे-इख़्तियारी रह गई

जब क़दम उस काफ़िर-ए-बद-केश की जानिब बढ़े
दूर पहुँचे सौ क़दम परहेज़-गारी रह गई

खींचते ही तेग़ अदा के दम हुआ अपना हवा
आह दिल में आरज़ू-ए-ज़ख़्म-ए-कारी रह गई

और तो ग़म-ख़्वार सारे कर चुके ग़म-ख़्वार्गी
अब फ़क़त है एक ग़म की ग़म-गुसारी रह गई

शिकवा अय्यारी का यारों से बजा है ऐ 'ज़फ़र'
इस ज़माने में यही है रस्म-ए-यारी रह गई

  - Bahadur Shah Zafar

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari