nahin ishq mein is ka to ranj hamein ki qaraar o shakeb zara na raha | नहीं इश्क़ में इस का तो रंज हमें कि क़रार ओ शकेब ज़रा न रहा - Bahadur Shah Zafar

nahin ishq mein is ka to ranj hamein ki qaraar o shakeb zara na raha
gham-e-ishq to apna rafeeq raha koi aur bala se raha na raha

diya apni khudi ko jo ham ne utha vo jo parda sa beech mein tha na raha
rahe parde mein ab na vo parda-nasheen koi doosra us ke siva na raha

na thi haal ki jab hamein khabar rahe dekhte auron ke aib o hunar
padi apni buraaiyon par jo nazar to nigaah mein koi bura na raha

tire rukh ke khayal mein kaun se din uthe mujh pe na fitna-e-roz-e-jaza
tiri zulf ke dhyaan mein kaun si shab mere sar pe hujoom-e-bala na raha

hamein saaghar-e-baada ke dene mein ab kare der jo saaqi to haaye gazab
ki ye ahad-e-nashaat ye daur-e-tarab na rahega jahaan mein sada na raha

kai roz mein aaj vo mehr-liqa hua mere jo saamne jalwa-numa
mujhe sabr o qaraar zara na raha use paas-e-hijaab-o-haya na raha

tire khanjar o teg ki aab-e-ravaan hui jab ki sabeel-e-sitam-zadgaan
gaye kitne hi qafile khushk-zabaan koi tishna-e-aab-e-baqa na raha

mujhe saaf bataaye nigaar agar to ye poochoon main ro ro ke khoon-e-jigar
male paanv se kis ke hain deeda-e-tar kaf-e-paa pe jo rang-e-hina na raha

use chaaha tha main ne ki rok rakhoon meri jaan bhi jaaye to jaane na doon
kiye laakh fareb karod fusoon na raha na raha na raha na raha

lage yun to hazaaron hi teer-e-sitam ki tadpate rahe pade khaak pe ham
wale naaz o karishma ki tegh-e-do-dam lagi aisi ki tasma laga na raha

zafar aadmi us ko na jaaniega vo ho kaisa hi saahib-e-fahm-o-zaka
jise aish mein yaad-e-khuda na rahi jise taish mein khauf-e-khuda na raha

नहीं इश्क़ में इस का तो रंज हमें कि क़रार ओ शकेब ज़रा न रहा
ग़म-ए-इश्क़ तो अपना रफ़ीक़ रहा कोई और बला से रहा न रहा

दिया अपनी ख़ुदी को जो हम ने उठा वो जो पर्दा सा बीच में था न रहा
रहे पर्दे में अब न वो पर्दा-नशीं कोई दूसरा उस के सिवा न रहा

न थी हाल की जब हमें ख़बर रहे देखते औरों के ऐब ओ हुनर
पड़ी अपनी बुराइयों पर जो नज़र तो निगाह में कोई बुरा न रहा

तिरे रुख़ के ख़याल में कौन से दिन उठे मुझ पे न फ़ित्ना-ए-रोज़-ए-जज़ा
तिरी ज़ुल्फ़ के ध्यान में कौन सी शब मिरे सर पे हुजूम-ए-बला न रहा

हमें साग़र-ए-बादा के देने में अब करे देर जो साक़ी तो हाए ग़ज़ब
कि ये अहद-ए-नशात ये दौर-ए-तरब न रहेगा जहाँ में सदा न रहा

कई रोज़ में आज वो मेहर-लिक़ा हुआ मेरे जो सामने जल्वा-नुमा
मुझे सब्र ओ क़रार ज़रा न रहा उसे पास-ए-हिजाब-ओ-हया न रहा

तिरे ख़ंजर ओ तेग़ की आब-ए-रवाँ हुई जब कि सबील-ए-सितम-ज़दगाँ
गए कितने ही क़ाफ़िले ख़ुश्क-ज़बाँ कोई तिश्ना-ए-आब-ए-बक़ा न रहा

मुझे साफ़ बताए निगार अगर तो ये पूछूँ मैं रो रो के ख़ून-ए-जिगर
मले पाँव से किस के हैं दीदा-ए-तर कफ़-ए-पा पे जो रंग-ए-हिना न रहा

उसे चाहा था मैं ने कि रोक रखूँ मिरी जान भी जाए तो जाने न दूँ
किए लाख फ़रेब करोड़ फ़ुसूँ न रहा न रहा न रहा न रहा

लगे यूँ तो हज़ारों ही तीर-ए-सितम कि तड़पते रहे पड़े ख़ाक पे हम
वले नाज़ ओ करिश्मा की तेग़-ए-दो-दम लगी ऐसी कि तस्मा लगा न रहा

'ज़फ़र' आदमी उस को न जानिएगा वो हो कैसा ही साहब-ए-फ़हम-ओ-ज़का
जिसे ऐश में याद-ए-ख़ुदा न रही जिसे तैश में ख़ौफ़-ए-ख़ुदा न रहा

- Bahadur Shah Zafar
0 Likes

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari