jigar ke tukde hue jal ke dil kebab hua
ye ishq jaan ko mere koi azaab hua
kiya jo qatl mujhe tum ne khoob kaam kiya
ki main azaab se chhoota tumhein savaab hua
kabhi to shefta us ne kaha kabhi shaida
garz ki roz naya ik mujhe khitaab hua
piyuun na rashk se khun kyunki dam-b-dam apna
ki saath gair ke vo aaj ham-sharaab hua
tumhaare lab ke lab-e-jaam ne liye bose
lab apne kaata kiya main na kaamyaab hua
gali gali tiri khaatir fira ba-chashm-e-pur-aab
laga ke tujh se dil apna bahut kharab hua
tiri gali mein bahaaye phire hai sail-e-sarishk
hamaara kaasa-e-sar kya hua habaab hua
jawaab-e-khat ke na likhne se ye hua maaloom
ki aaj se hamein ai nama-bar jawaab hua
mangaaee thi tiri tasveer dil ki taskin ko
mujhe to dekhte hi aur iztiraab hua
sitam tumhaare bahut aur din hisaab ka ek
mujhe hai soch ye hi kis tarah hisaab hua
zafar badal ke radif aur tu ghazal vo suna
ki jis ka tujh se har ik sher intikhaab hua
जिगर के टुकड़े हुए जल के दिल कबाब हुआ
ये इश्क़ जान को मेरे कोई अज़ाब हुआ
किया जो क़त्ल मुझे तुम ने ख़ूब काम किया
कि मैं अज़ाब से छूटा तुम्हें सवाब हुआ
कभी तो शेफ़्ता उस ने कहा कभी शैदा
ग़रज़ कि रोज़ नया इक मुझे ख़िताब हुआ
पियूँ न रश्क से ख़ूँ क्यूँकि दम-ब-दम अपना
कि साथ ग़ैर के वो आज हम-शराब हुआ
तुम्हारे लब के लब-ए-जाम ने लिए बोसे
लब अपने काटा किया मैं न कामयाब हुआ
गली गली तिरी ख़ातिर फिरा ब-चश्म-ए-पुर-आब
लगा के तुझ से दिल अपना बहुत ख़राब हुआ
तिरी गली में बहाए फिरे है सैल-ए-सरिश्क
हमारा कासा-ए-सर क्या हुआ हबाब हुआ
जवाब-ए-ख़त के न लिखने से ये हुआ मालूम
कि आज से हमें ऐ नामा-बर जवाब हुआ
मँगाई थी तिरी तस्वीर दिल की तस्कीं को
मुझे तो देखते ही और इज़्तिराब हुआ
सितम तुम्हारे बहुत और दिन हिसाब का एक
मुझे है सोच ये ही किस तरह हिसाब हुआ
'ज़फ़र' बदल के रदीफ़ और तू ग़ज़ल वो सुना
कि जिस का तुझ से हर इक शेर इंतिख़ाब हुआ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar
our suggestion based on Bahadur Shah Zafar
As you were reading Love Shayari Shayari