shaane ki har zabaan se sune koi laaf-e-zulf | शाने की हर ज़बाँ से सुने कोई लाफ़-ए-ज़ुल्फ़

  - Bahadur Shah Zafar

shaane ki har zabaan se sune koi laaf-e-zulf
cheere hai seena raat ko ye moo-shigaaf-e-zulf

jis tarah se ki kaabe pe hai poshish-e-siyaah
is tarah is sanam ke hai rukh par ghilaaf-e-zulf

barham hai is qadar jo mere dil se zulf-e-yaar
shaamat-zada ne kya kiya aisa khilaaf-e-zulf

matlab na kufr o deen se na dair o haram se kaam
karta hai dil tawaaf-e-izaar o tawaaf-e-zulf

naaf-e-ghazaal-e-cheen hai ki hai naafa-e-tataar
kyunkar kahoon ki hai girh-e-zulf naaf-e-zulf

aapas mein aaj dast-o-garebaan hai roz o shab
ai mehr-vash zari ka nahin moo-e-baaf-e-zulf

kehta hai koi jeem koi laam zulf ko
kehta hoon main zafar ki mustatteh hai kaaf-e-zulf

शाने की हर ज़बाँ से सुने कोई लाफ़-ए-ज़ुल्फ़
चीरे है सीना रात को ये मू-शिगाफ़-ए-ज़ुल्फ़

जिस तरह से कि काबे पे है पोशिश-ए-सियाह
इस तरह इस सनम के है रुख़ पर ग़िलाफ़-ए-ज़ुल्फ़

बरहम है इस क़दर जो मिरे दिल से ज़ुल्फ़-ए-यार
शामत-ज़दा ने क्या किया ऐसा ख़िलाफ़-ए-ज़ुल्फ़

मतलब न कुफ़्र ओ दीं से न दैर ओ हरम से काम
करता है दिल तवाफ़-ए-इज़ार ओ तवाफ़-ए-ज़ु़ल्फ़

नाफ़-ए-ग़ज़ाल-ए-चीं है कि है नाफ़ा-ए-ततार
क्यूँकर कहूँ कि है गिरह-ए-ज़ुल्फ़ नाफ़-ए-ज़ुल्फ़

आपस में आज दस्त-ओ-गरेबाँ है रोज़ ओ शब
ऐ मेहर-वश ज़री का नहीं मू-ए-बाफ़-ए-ज़ुल्फ़

कहता है कोई जीम कोई लाम ज़ुल्फ़ को
कहता हूँ मैं 'ज़फ़र' कि मुसत्तह है काफ़-ए-ज़ुल्फ़

  - Bahadur Shah Zafar

Zulf Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Zulf Shayari Shayari