waan rasai nahin to phir kya hai | वाँ रसाई नहीं तो फिर क्या है - Bahadur Shah Zafar

waan rasai nahin to phir kya hai
ye judaai nahin to phir kya hai

ho mulaqaat to safaai se
aur safaai nahin to phir kya hai

dilruba ko hai dilrubaaai shart
dilrubaaai nahin to phir kya hai

gila hota hai aashnaai mein
aashnaai nahin to phir kya hai

allah allah re un buton ka ghuroor
ye khudaai nahin to phir kya hai

maut aayi to tal nahin sakti
aur aayi nahin to phir kya hai

magas-e-qab aghniyaa hona hai
be-hayaai nahin to phir kya hai

bosa-e-lab dil-e-shikasta ko
momyaai nahin to phir kya hai

nahin rone mein gar zafar taaseer
jag-hansaai nahin to phir kya hai

वाँ रसाई नहीं तो फिर क्या है
ये जुदाई नहीं तो फिर क्या है

हो मुलाक़ात तो सफ़ाई से
और सफ़ाई नहीं तो फिर क्या है

दिलरुबा को है दिलरुबाई शर्त
दिलरुबाई नहीं तो फिर क्या है

गिला होता है आश्नाई में
आश्नाई नहीं तो फिर क्या है

अल्लाह अल्लाह रे उन बुतों का ग़ुरूर
ये ख़ुदाई नहीं तो फिर क्या है

मौत आई तो टल नहीं सकती
और आई नहीं तो फिर क्या है

मगस-ए-क़ाब अग़निया होना है
बे-हयाई नहीं तो फिर क्या है

बोसा-ए-लब दिल-ए-शिकस्ता को
मोम्याई नहीं तो फिर क्या है

नहीं रोने में गर 'ज़फ़र' तासीर
जग-हँसाई नहीं तो फिर क्या है

- Bahadur Shah Zafar
1 Like

Mazhab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Mazhab Shayari Shayari