ham ye to nahin kahte ki gham kah nahin sakte | हम ये तो नहीं कहते कि ग़म कह नहीं सकते

  - Bahadur Shah Zafar

ham ye to nahin kahte ki gham kah nahin sakte
par jo sabab-e-gham hai vo ham kah nahin sakte

ham dekhte hain tum mein khuda jaane buto kya
is bhed ko allah ki qasam kah nahin sakte

ruswa-e-jahaan karta hai ro ro ke hamein tu
ham tujhe kuchh ai deeda-e-nam kah nahin sakte

kya poochta hai ham se tu ai shokh sitamgar
jo tu ne kiye ham pe sitam kah nahin sakte

hai sabr jinhen talkh-kalaami ko tumhaari
sharbat hi bataate hain sam kah nahin sakte

jab kahte hain kuchh baat rukaavat ki tire ham
ruk jaata hai ye seene mein dam kah nahin sakte

allah re tira ro'b ki ahwaal-e-dil apna
de dete hain ham kar ke raqam kah nahin sakte

tooba-e-beheshti hai tumhaara qad-e-raa'na
ham kyunkar kahein sarv-e-iram kah nahin sakte

jo ham pe shab-e-hijr mein us maah-e-laqaa ke
guzre hain zafar ranj o alam kah nahin sakte

हम ये तो नहीं कहते कि ग़म कह नहीं सकते
पर जो सबब-ए-ग़म है वो हम कह नहीं सकते

हम देखते हैं तुम में ख़ुदा जाने बुतो क्या
इस भेद को अल्लाह की क़सम कह नहीं सकते

रुस्वा-ए-जहाँ करता है रो रो के हमें तू
हम तुझे कुछ ऐ दीदा-ए-नम कह नहीं सकते

क्या पूछता है हम से तू ऐ शोख़ सितमगर
जो तू ने किए हम पे सितम कह नहीं सकते

है सब्र जिन्हें तल्ख़-कलामी को तुम्हारी
शर्बत ही बताते हैं सम कह नहीं सकते

जब कहते हैं कुछ बात रुकावट की तिरे हम
रुक जाता है ये सीने में दम कह नहीं सकते

अल्लाह रे तिरा रो'ब कि अहवाल-ए-दिल अपना
दे देते हैं हम कर के रक़म कह नहीं सकते

तूबा-ए-बहिश्ती है तुम्हारा क़द-ए-रा'ना
हम क्यूँकर कहें सर्व-ए-इरम कह नहीं सकते

जो हम पे शब-ए-हिज्र में उस माह-ए-लक़ा के
गुज़रे हैं 'ज़फ़र' रंज ओ अलम कह नहीं सकते

  - Bahadur Shah Zafar

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari