hawa mein firte ho kya hirs aur hawa ke liye | हवा में फिरते हो क्या हिर्स और हवा के लिए

  - Bahadur Shah Zafar

hawa mein firte ho kya hirs aur hawa ke liye
ghuroor chhod do ai ghaafilo khuda ke liye

gira diya hai hamein kis ne chaah-e-ulfat mein
ham aap doobe kisi apne aashna ke liye

jahaan mein chahiye aiwaan o qasr shahon ko
ye ek gumbad-e-gardoon hai bas gada ke liye

vo aaina hai ki jis ko hai haajat-e-seemaab
ik iztiraab hai kaafi dil-e-safaa ke liye

tapish se dil ka ho kya jaane seene mein kya haal
jo tere teer ka rozan na ho hawa ke liye

tabeeb-e-ishq ki dukkaan mein dhoondte firte
ye dardmand-e-mohabbat tiri dava ke liye

jo haath aaye zafar khaak-paa-e-'fakhruddeen
to main rakhoon use aankhon ke tootiyaa ke liye

हवा में फिरते हो क्या हिर्स और हवा के लिए
ग़ुरूर छोड़ दो ऐ ग़ाफ़िलो ख़ुदा के लिए

गिरा दिया है हमें किस ने चाह-ए-उल्फ़त में
हम आप डूबे किसी अपने आश्ना के लिए

जहाँ में चाहिए ऐवान ओ क़स्र शाहों को
ये एक गुम्बद-ए-गर्दूं है बस गदा के लिए

वो आईना है कि जिस को है हाजत-ए-सीमाब
इक इज़्तिराब है काफ़ी दिल-ए-सफ़ा के लिए

तपिश से दिल का हो क्या जाने सीने में क्या हाल
जो तेरे तीर का रौज़न न हो हवा के लिए

तबीब-ए-इश्क़ की दुक्काँ में ढूँडते फिरते
ये दर्दमंद-ए-मोहब्बत तिरी दवा के लिए

जो हाथ आए 'ज़फ़र' ख़ाक-पा-ए-'फ़ख़रूद्दीन'
तो मैं रखूँ उसे आँखों के तूतिया के लिए

  - Bahadur Shah Zafar

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari