yaa khaak ka bistar hai gale mein kafni hai | याँ ख़ाक का बिस्तर है गले में कफ़नी है

  - Bahadur Shah Zafar

yaa khaak ka bistar hai gale mein kafni hai
waan haath mein aaina hai gul pairhani hai

haathon se hamein ishq ke din raat nahin chain
fariyaad o fugaan din ko hai shab naara-zani hai

hushyaar ho ghaflat se tu ghaafil na ho ai dil
apni to nazar mein ye jagah be-watani hai

kuchh kah nahin saka hoon zabaan se ki zara dekh
kya jaaye hai jis jaaye na kuchh dam-zadani hai

mizgaan pe mere lakht-e-jigar hi nahin yaaro
is taar se vo rishta aqeeq-e-yamni hai

likh aur ghazal qaafiye ko fer zafar tu
ab taba ki dariya ki tiri mauj-zani hai

याँ ख़ाक का बिस्तर है गले में कफ़नी है
वाँ हाथ में आईना है गुल पैरहनी है

हाथों से हमें इश्क़ के दिन रात नहीं चैन
फ़रियाद ओ फ़ुग़ाँ दिन को है शब नारा-ज़नी है

हुश्यार हो ग़फ़लत से तू ग़ाफ़िल न हो ऐ दिल
अपनी तो नज़र में ये जगह बे-वतनी है

कुछ कह नहीं सकता हूँ ज़बाँ से कि ज़रा देख
क्या जाए है जिस जाए न कुछ दम-ज़दनी है

मिज़्गाँ पे मिरे लख़्त-ए-जिगर ही नहीं यारो
इस तार से वो रिश्ता अक़ीक़-ए-यमनी है

लिख और ग़ज़ल क़ाफ़िए को फेर 'ज़फ़र' तू
अब तब्अ' की दरिया की तिरी मौज-ज़नी है

  - Bahadur Shah Zafar

Dariya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Dariya Shayari Shayari