karenge qasd ham jis dam tumhaare ghar mein aawenge | करेंगे क़स्द हम जिस दम तुम्हारे घर में आवेंगे

  - Bahadur Shah Zafar

karenge qasd ham jis dam tumhaare ghar mein aawenge
jo hogi umr bhar ki raah to dam bhar mein aawenge

agar haathon se us sheerin-ada ke zabh honge ham
to sharbat ke se ghoont aab-e-dam-e-khanjar mein aawenge

yahi gar josh-e-giryaa hai to bah kar saath ashkon ke
hazaaron paara-e-dil mere chashm-e-tar mein aawenge

gar is qaid-e-balaa se ab ki chhootenge to phir hargiz
na ham daam-e-fareb-e-shokh-e-ghaarat-gar mein aawenge

na jaate garche mar jaate jo ham maaloom kar jaate
ki itna tang ja kar koocha-e-dilbar mein aawenge

garebaan-chaak laakhon haath se us mehr-e-tal'at ke
b-rang-e-subh-e-mahshar arsa-e-mahshar mein aawenge

jo sargardaani apni tere deewane dikhaayenge
to phir kya kya bagule dasht ke chakkar mein aawenge

zafar apna karishma gar dikhaaya chashm-e-saaqi ne
tamaashe jaam-e-jam ke sab nazar saaghar mein aawenge

करेंगे क़स्द हम जिस दम तुम्हारे घर में आवेंगे
जो होगी उम्र भर की राह तो दम भर में आवेंगे

अगर हाथों से उस शीरीं-अदा के ज़ब्ह होंगे हम
तो शर्बत के से घूँट आब-ए-दम-ए-ख़ंजर में आवेंगे

यही गर जोश-ए-गिर्या है तो बह कर साथ अश्कों के
हज़ारों पारा-ए-दिल मेरे चश्म-ए-तर में आवेंगे

गर इस क़ैद-ए-बला से अब की छूटेंगे तो फिर हरगिज़
न हम दाम-ए-फ़रेब-ए-शोख़-ए-ग़ारत-गर में आवेंगे

न जाते गरचे मर जाते जो हम मालूम कर जाते
कि इतना तंग जा कर कूचा-ए-दिलबर में आवेंगे

गरेबाँ-चाक लाखों हाथ से उस मेहर-ए-तलअत के
ब-रंग-ए-सुब्ह-ए-महशर अरसा-ए-महशर में आवेंगे

जो सरगरदानी अपनी तेरे दीवाने दिखाएँगे
तो फिर क्या क्या बगूले दश्त के चक्कर में आवेंगे

'ज़फ़र' अपना करिश्मा गर दिखाया चश्म-ए-साक़ी ने
तमाशे जाम-ए-जम के सब नज़र साग़र में आवेंगे

  - Bahadur Shah Zafar

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari