hijr ke haath se ab khaak pade jeene mein | हिज्र के हाथ से अब ख़ाक पड़े जीने में

  - Bahadur Shah Zafar

hijr ke haath se ab khaak pade jeene mein
dard ik aur utha aah naya seene mein

khoon-e-dil peene se jo kuchh hai halaavat ham ko
ye maza aur kisi ko nahin may peene mein

dil ko kis shakl se apne na musaffa rakhoon
jalva-gar yaar ki soorat hai is aaine mein

ashk o lakht-e-jigar aankhon mein nahin hain mere
hain bhare laal o guhar ishq ke ganjeene mein

shakl-e-aaina zafar se to na rakh dil mein khayal
kuchh maza bhi hai bhala jaan meri lene mein

हिज्र के हाथ से अब ख़ाक पड़े जीने में
दर्द इक और उठा आह नया सीने में

ख़ून-ए-दिल पीने से जो कुछ है हलावत हम को
ये मज़ा और किसी को नहीं मय पीने में

दिल को किस शक्ल से अपने न मुसफ़्फ़ा रक्खूँ
जल्वा-गर यार की सूरत है इस आईने में

अश्क ओ लख़्त-ए-जिगर आँखों में नहीं हैं मेरे
हैं भरे लाल ओ गुहर इश्क़ के गंजीने में

शक्ल-ए-आईना 'ज़फ़र' से तो न रख दिल में ख़याल
कुछ मज़ा भी है भला जान मिरी लेने में

  - Bahadur Shah Zafar

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari