paan ki surkhi nahin lab par but-e-khoon-khwaar ke
lag gaya hai khoon-e-aashiq munh ko is talwaar ke
khaal-e-aariz dekh lo halke mein zulf-e-yaar ke
maar-e-mohra gar na dekha ho dehan mein maar ke
anjum-e-taabaa'n falak par jaanti hai jis ko khalk
kuchh sharaare hain vo meri aah-e-aatish-baar ke
tooba-e-jannat se us ko kaam kya hai hoor-vash
jo ki hain aasooda saaye mein tiri deewaar ke
poochte ho haal kya mera qimaar-e-ishq mein
jhaad baitha haath main naqd-e-dil-o-deen haar ke
ye hui taaseer ishq-e-koh-kan se sang-e-aab
ashk jaari ab talak chashmon se hain kohsaar ke
hai vo be-vahdat ki jo samjhe hai kufr o deen mein farq
rakhti hai tasbeeh rishta taar se zunnar ke
vaada-e-deedaar jo thehra qayamat par to yaa
roz hoti hai qayamat shauq mein deedaar ke
hoshiyaari hai yahi kijeye zafar is se hazar
dekhiye jis ko nashe mein baada-e-pindaar ke
पान की सुर्ख़ी नहीं लब पर बुत-ए-ख़ूँ-ख़्वार के
लग गया है ख़ून-ए-आशिक़ मुँह को इस तलवार के
ख़ाल-ए-आरिज़ देख लो हल्क़े में ज़ुल्फ़-ए-यार के
मार-ए-मोहरा गर न देखा हो दहन में मार के
अंजुम-ए-ताबाँ फ़लक पर जानती है जिस को ख़ल्क़
कुछ शरारे हैं वो मेरी आह-ए-आतिश-बार के
तूबा-ए-जन्नत से उस को काम क्या है हूर-वश
जो कि हैं आसूदा साए में तिरी दीवार के
पूछते हो हाल क्या मेरा क़िमार-ए-इश्क़ में
झाड़ बैठा हाथ मैं नक़्द-ए-दिल-ओ-दीं हार के
ये हुई तासीर इश्क़-ए-कोह-कन से संग-ए-आब
अश्क जारी अब तलक चश्मों से हैं कोहसार के
है वो बे-वहदत कि जो समझे है कुफ़्र ओ दीं में फ़र्क़
रखती है तस्बीह रिश्ता तार से ज़ुन्नार के
वादा-ए-दीदार जो ठहरा क़यामत पर तो याँ
रोज़ होती है क़यामत शौक़ में दीदार के
होशियारी है यही कीजे 'ज़फ़र' इस से हज़र
देखिए जिस को नशे में बादा-ए-पिंदार के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar
our suggestion based on Bahadur Shah Zafar
As you were reading Bahan Shayari Shayari