kya kuchh na kiya aur hain kya kuchh nahin karte
kuchh karte hain aisa b-khuda kuchh nahin karte
apne marz-e-gham ka hakeem aur koi hai
ham aur tabeebon ki dava kuchh nahin karte
maaloom nahin ham se hijaab un ko hai kaisa
auron se to vo sharm o haya kuchh nahin karte
go karte hain zaahir ko safa ahl-e-kudurat
par dil ko nahin karte safa kuchh nahin karte
vo dilbari ab tak meri kuchh karte hain lekin
taaseer tire naale dila kuchh nahin karte
dil ham ne diya tha tujhe ummeed-e-wafa par
tum ham se nahin karte wafa kuchh nahin karte
karte hain vo is tarah zafar dil pe jafaaen
zaahir mein ye jaano ki jafaa kuchh nahin karte
क्या कुछ न किया और हैं क्या कुछ नहीं करते
कुछ करते हैं ऐसा ब-ख़ुदा कुछ नहीं करते
अपने मरज़-ए-ग़म का हकीम और कोई है
हम और तबीबों की दवा कुछ नहीं करते
मालूम नहीं हम से हिजाब उन को है कैसा
औरों से तो वो शर्म ओ हया कुछ नहीं करते
गो करते हैं ज़ाहिर को सफ़ा अहल-ए-कुदूरत
पर दिल को नहीं करते सफ़ा कुछ नहीं करते
वो दिलबरी अब तक मिरी कुछ करते हैं लेकिन
तासीर तिरे नाले दिला कुछ नहीं करते
दिल हम ने दिया था तुझे उम्मीद-ए-वफ़ा पर
तुम हम से नहीं करते वफ़ा कुछ नहीं करते
करते हैं वो इस तरह 'ज़फ़र' दिल पे जफ़ाएँ
ज़ाहिर में ये जानो कि जफ़ा कुछ नहीं करते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar
our suggestion based on Bahadur Shah Zafar
As you were reading Jafa Shayari Shayari