bhari hai dil mein jo hasrat kahoon to kis se kahoon | भरी है दिल में जो हसरत कहूँ तो किस से कहूँ

  - Bahadur Shah Zafar

bhari hai dil mein jo hasrat kahoon to kis se kahoon
sune hai kaun museebat kahoon to kis se kahoon

jo tu ho saaf to kuchh main bhi saaf tujh se kahoon
tire hai dil mein kudoorat kahoon to kis se kahoon

na kohkan hai na majnoon ki the mere hamdard
main apna dard-e-mohabbat kahoon to kis se kahoon

dil us ko aap diya aap hi pashemaan hoon
ki sach hai apni nadaamat kahoon to kis se kahoon

kahoon main jis se use hove sunte hi vehshat
phir apna qissa-e-vahshat kahoon to kis se kahoon

raha hai tu hi to gham-khwaar ai dil-e-ghamgeen
tire siva gham-e-furqat kahoon to kis se kahoon

jo dost ho to kahoon tujh se dosti ki baat
tujhe to mujh se adavat kahoon to kis se kahoon

na mujh ko kehne ki taqat kahoon to kya ahvaal
na us ko sunne ki furqat kahoon to kis se kahoon

kisi ko dekhta itna nahin haqeeqat mein
zafar main apni haqeeqat kahoon to kis se kahoon

भरी है दिल में जो हसरत कहूँ तो किस से कहूँ
सुने है कौन मुसीबत कहूँ तो किस से कहूँ

जो तू हो साफ़ तो कुछ मैं भी साफ़ तुझ से कहूँ
तिरे है दिल में कुदूरत कहूँ तो किस से कहूँ

न कोहकन है न मजनूँ कि थे मिरे हमदर्द
मैं अपना दर्द-ए-मोहब्बत कहूँ तो किस से कहूँ

दिल उस को आप दिया आप ही पशेमाँ हूँ
कि सच है अपनी नदामत कहूँ तो किस से कहूँ

कहूँ मैं जिस से उसे होवे सुनते ही वहशत
फिर अपना क़िस्सा-ए-वहशत कहूँ तो किस से कहूँ

रहा है तू ही तो ग़म-ख़्वार ऐ दिल-ए-ग़म-गीं
तिरे सिवा ग़म-ए-फ़ुर्क़त कहूँ तो किस से कहूँ

जो दोस्त हो तो कहूँ तुझ से दोस्ती की बात
तुझे तो मुझ से अदावत कहूँ तो किस से कहूँ

न मुझ को कहने की ताक़त कहूँ तो क्या अहवाल
न उस को सुनने की फ़ुर्सत कहूँ तो किस से कहूँ

किसी को देखता इतना नहीं हक़ीक़त में
'ज़फ़र' मैं अपनी हक़ीक़त कहूँ तो किस से कहूँ

  - Bahadur Shah Zafar

Mahatma Gandhi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Mahatma Gandhi Shayari Shayari