lagta nahin hai dil mera ujde dayaar mein | लगता नहीं है दिल मिरा उजड़े दयार में

  - Bahadur Shah Zafar

lagta nahin hai dil mera ujde dayaar mein
kis ki bani hai aalam-e-naa-paayedaar mein

in hasraton se kah do kahi aur ja basen
itni jagah kahaan hai dil-e-daag-daar mein

kaanton ko mat nikaal chaman se o baagbaan
ye bhi gulon ke saath pale hain bahaar mein

bulbul ko baagbaan se na sayyaad se gila
qismat mein qaid likkhi thi fasl-e-bahaar mein

kitna hai bad-naseeb zafar dafn ke liye
do gaz zameen bhi na mili ku-e-yaar mein

लगता नहीं है दिल मिरा उजड़े दयार में
किस की बनी है आलम-ए-ना-पाएदार में

इन हसरतों से कह दो कहीं और जा बसें
इतनी जगह कहाँ है दिल-ए-दाग़-दार में

काँटों को मत निकाल चमन से ओ बाग़बाँ
ये भी गुलों के साथ पले हैं बहार में

बुलबुल को बाग़बाँ से न सय्याद से गिला
क़िस्मत में क़ैद लिक्खी थी फ़स्ल-ए-बहार में

कितना है बद-नसीब 'ज़फ़र' दफ़्न के लिए
दो गज़ ज़मीन भी न मिली कू-ए-यार में

  - Bahadur Shah Zafar

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bahadur Shah Zafar

As you were reading Shayari by Bahadur Shah Zafar

Similar Writers

our suggestion based on Bahadur Shah Zafar

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari