chaliye kahi sehra hi mein ab khaak udaayein | चलिए कहीं सहरा ही में अब ख़ाक उड़ाएँ

  - Bakhtiyar Ziya

chaliye kahi sehra hi mein ab khaak udaayein
basti mein to sab jal gaeein khwaabon ki ridaaein

bechain hai muztar hai pareshaan hai ye rooh
kab tak ise ehsaas ki sooli pe chhadaayein

aankhon mein padhi jaati hai sail ki zaroorat
chehre se sooni jaati hain khaamosh sadaaein

main waqt ki raftaar ka rukh mod raha hoon
vo log jo darte hain mere saath na aayein

munh mod rahe hain jo ziya jihad-o-amal se
ja kar dar-e-taqdeer ki zanjeer hilaayen

चलिए कहीं सहरा ही में अब ख़ाक उड़ाएँ
बस्ती में तो सब जल गईं ख़्वाबों की रिदाएँ

बेचैन है मुज़्तर है परेशान है ये रूह
कब तक इसे एहसास की सूली पे चढ़ाएँ

आँखों में पढ़ी जाती है साइल की ज़रूरत
चेहरे से सुनी जाती हैं ख़ामोश सदाएँ

मैं वक़्त की रफ़्तार का रुख़ मोड़ रहा हूँ
वो लोग जो डरते हैं मिरे साथ न आएँ

मुँह मोड़ रहे हैं जो 'ज़िया' जहद-ओ-अमल से
जा कर दर-ए-तक़दीर की ज़ंजीर हिलाएँ

  - Bakhtiyar Ziya

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakhtiyar Ziya

As you were reading Shayari by Bakhtiyar Ziya

Similar Writers

our suggestion based on Bakhtiyar Ziya

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari