nikhat-o-rang na mausam ki hawa thehri hai | निकहत-ओ-रंग न मौसम की हवा ठहरी है

  - Bakhtiyar Ziya

nikhat-o-rang na mausam ki hawa thehri hai
gul ki qismat mein b-har-haal fana thehri hai

zakhm-e-dil khil uthe hanste hue phoolon ki tarah
ek lamhe ko jahaan baad-e-saba thehri hai

maut ko kahiye ilaaj-e-gham-e-hasti lekin
zindagi kaun se jurmon ki saza thehri hai

aur mansoor koi mashhad-e-hasti mein na tha
laayeq-e-daar jo ik meri ana thehri hai

husn-e-mukhtar hai har baat rawa hai is ko
fitrat-e-ishq to paaband-e-wafa thehri hai

koi naghma koi jhankaar koi hosh-ruba
dil hi bahla len tabeeyat jo zara thehri hai

निकहत-ओ-रंग न मौसम की हवा ठहरी है
गुल की क़िस्मत में ब-हर-हाल फ़ना ठहरी है

ज़ख़्म-ए-दिल खिल उठे हँसते हुए फूलों की तरह
एक लम्हे को जहाँ बाद-ए-सबा ठहरी है

मौत को कहिए इलाज-ए-ग़म-ए-हस्ती लेकिन
ज़िंदगी कौन से जुर्मों की सज़ा ठहरी है

और मंसूर कोई मशहद-ए-हस्ती में न था
लाएक़-ए-दार जो इक मेरी अना ठहरी है

हुस्न-ए-मुख़्तार है हर बात रवा है इस को
फ़ितरत-ए-इश्क़ तो पाबंद-ए-वफ़ा ठहरी है

कोई नग़्मा कोई झंकार कोई होश-रुबा
दिल ही बहला लें तबीअत जो ज़रा ठहरी है

  - Bakhtiyar Ziya

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakhtiyar Ziya

As you were reading Shayari by Bakhtiyar Ziya

Similar Writers

our suggestion based on Bakhtiyar Ziya

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari