karb mein pyaar ke naghmaat sunaaien kaise
gham haqeeqat se haqeeqat ko chhupaayein kaise
lab-o-aariz ke taqaazon ko bhala kar yaaro
door aa pahunchen hain ab laut ke jaayen kaise
an-ginat jaam piye zillat-o-ruswaai ke
zindagi aur tire naaz uthaaye kaise
dil jo dukhta hai ziya aankh bhi bhar aati hai
log fitrat ke taqaazon ko chhupaayein kaise
कर्ब में प्यार के नग़्मात सुनाईं कैसे
ग़म हक़ीक़त से हक़ीक़त को छुपाएँ कैसे
लब-ओ-आरिज़ के तक़ाज़ों को भला कर यारो
दूर आ पहुँचे हैं अब लौट के जाएँ कैसे
अन-गिनत जाम पिए ज़िल्लत-ओ-रुसवाई के
ज़िंदगी और तिरे नाज़ उठाएँ कैसे
दिल जो दुखता है 'ज़िया' आँख भी भर आती है
लोग फ़ितरत के तक़ाज़ों को छुपाएँ कैसे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhtiyar Ziya
our suggestion based on Bakhtiyar Ziya
As you were reading Haya Shayari Shayari