koi khadsha hai na toofaan bala kuchh bhi nahin
ab na ghamza hai na andaaz-o-ada kuchh bhi nahin
ishq kahte hain kise husn hai kya kuchh bhi nahin
meri aankhen tiri soorat ke siva kuchh bhi nahin
kab se veeraan padi hai mere dil ki duniya
koi naghma kisi paayal ki sada kuchh bhi nahin
zahar se kam nahin ye saagar-e-may mere liye
tu nahin hai to ye mausam ye fazaa kuchh bhi nahin
tere chehre pe qayamat hai haya ki surkhi
rang-e-gul rang-e-shafaq rang-e-hina kuchh bhi nahin
कोई ख़दशा है न तूफ़ान बला कुछ भी नहीं
अब न ग़म्ज़ा है न अंदाज़-ओ-अदा कुछ भी नहीं
इश्क़ कहते हैं किसे हुस्न है क्या कुछ भी नहीं
मेरी आँखें तिरी सूरत के सिवा कुछ भी नहीं
कब से वीरान पड़ी है मिरे दिल की दुनिया
कोई नग़्मा किसी पायल की सदा कुछ भी नहीं
ज़हर से कम नहीं ये साग़र-ए-मय मेरे लिए
तू नहीं है तो ये मौसम ये फ़ज़ा कुछ भी नहीं
तेरे चेहरे पे क़यामत है हया की सुर्ख़ी
रंग-ए-गुल रंग-ए-शफ़क़ रंग-ए-हिना कुछ भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhtiyar Ziya
our suggestion based on Bakhtiyar Ziya
As you were reading Haya Shayari Shayari