roodaad-e-shauq ye hai meri mukhtasar tamaam
raanaaiyon mein kho gaya zauq-e-nazar tamaam
guzra hai gul-badan koi meri talash mein
mahki hui hai aaj meri raahguzaar tamaam
vo din bhi kya the jab thi hawaon se guftugoo
ab ham se baat karte hain deewar-o-dar tamaam
khud apna ehtisaab gawara nahin unhen
auron mein aib dhoondte hain deeda-war tamaam
tanhaaiyaan naseeb ka unwaan ban gaeein
ek ek kar ke chhoot gaye hum-safar tamaam
hone lage hain meri khamoshi pe tabsire
ab jaan le ke chhodenge ye chaaragar tamaam
kya soch kar chale the ziya raah-e-shauq mein
shaayad na ho sake ye safar umr-bhar tamaam
रूदाद-ए-शौक़ ये है मिरी मुख़्तसर तमाम
रानाइयों में खो गया ज़ौक़-ए-नज़र तमाम
गुज़रा है गुल-बदन कोई मेरी तलाश में
महकी हुई है आज मिरी रहगुज़र तमाम
वो दिन भी क्या थे जब थी हवाओं से गुफ़्तुगू
अब हम से बात करते हैं दीवार-ओ-दर तमाम
ख़ुद अपना एहतिसाब गवारा नहीं उन्हें
औरों में ऐब ढूँडते हैं दीदा-वर तमाम
तन्हाइयाँ नसीब का उन्वान बन गईं
एक एक कर के छूट गए हम-सफ़र तमाम
होने लगे हैं मेरी ख़मोशी पे तब्सिरे
अब जान ले के छोड़ेंगे ये चारागर तमाम
क्या सोच कर चले थे 'ज़िया' राह-ए-शौक़ में
शायद न हो सके ये सफ़र उम्र-भर तमाम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhtiyar Ziya
our suggestion based on Bakhtiyar Ziya
As you were reading Aawargi Shayari Shayari