ranj-e-na-aasoodagi karb-e-hunar dekhega kaun | रंज-ए-ना-आसूदगी कर्ब-ए-हुनर देखेगा कौन - Bakhtiyar Ziya

ranj-e-na-aasoodagi karb-e-hunar dekhega kaun
naqsh-e-faryaadi hai kis ka deeda-war dekhega kaun

jumbish-e-lab hi se khul jaayega maani ka bharam
us ke harf-na-shneeda ka asar dekhega kaun

apni duniya tak rakho mahdood parvaaze abhi
neelgoon pahnaaiyon mein baal-o-par dekhega kaun

apne kamre ka koi gul-daan khaali kyun rahe
phool kaaghaz ke saja lo soongh kar dekhega kaun

ik khilauna tod kar chalti bani paagal hawa
ab ye reza reza paikar jod kar dekhega kaun

kitni tahzeebon ka madfan hai hamaari zindagi
jagmagaae shehar mein lekin khandar dekhega kaun

रंज-ए-ना-आसूदगी कर्ब-ए-हुनर देखेगा कौन
नक़्श-ए-फ़र्यादी है किस का दीदा-वर देखेगा कौन

जुम्बिश-ए-लब ही से खुल जाएगा मा'नी का भरम
उस के हर्फ़-ना-शनीदा का असर देखेगा कौन

अपनी दुनिया तक रखो महदूद परवाज़ें अभी
नीलगूँ पहनाइयों में बाल-ओ-पर देखेगा कौन

अपने कमरे का कोई गुल-दान ख़ाली क्यूँ रहे
फूल काग़ज़ के सजा लो सूँघ कर देखेगा कौन

इक खिलौना तोड़ कर चलती बनी पागल हवा
अब ये रेज़ा रेज़ा पैकर जोड़ कर देखेगा कौन

कितनी तहज़ीबों का मदफ़न है हमारी ज़िंदगी
जगमगाए शहर में लेकिन खंडर देखेगा कौन

- Bakhtiyar Ziya
0 Likes

Bachpan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakhtiyar Ziya

As you were reading Shayari by Bakhtiyar Ziya

Similar Writers

our suggestion based on Bakhtiyar Ziya

Similar Moods

As you were reading Bachpan Shayari Shayari