dil ka sukoon aankh ka taara kise kahein | दिल का सुकून आँख का तारा किसे कहें

  - Bakhtiyar Ziya

dil ka sukoon aankh ka taara kise kahein
ye sochna pada hai ki apna kise kahein

ye shor-e-inqlaab ye naaqoos ye azaan
hangaama kaun sa hai tamasha kise kahein

rahbaaniyat ka jism se fastaaiyat ki rooh
kis ko rafeeq khoon ka pyaasa kise kahein

sab milte-julte chehre hain dushman bhi dost bhi
qaateel kise bataayein maseeha kise kahein

har zarra-e-haqeer hai ham-dosh mehr-o-maah
is pattharon ke dher mein heera kise kahein

itna shu'ur de hamein khallaq khair-o-shar
khaar-o-zaboon hai kaun farishta kise kahein

milna tha jo naseeb se vo mil gaya ziya
hasrat kise bataayein tamannaa kise kahein

दिल का सुकून आँख का तारा किसे कहें
ये सोचना पड़ा है कि अपना किसे कहें

ये शोर-ए-इंक़लाब ये नाक़ूस ये अज़ाँ
हंगामा कौन सा है तमाशा किसे कहें

रहबानियत का जिस्म से फ़सताइयत की रूह
किस को रफ़ीक़ ख़ून का प्यासा किसे कहें

सब मिलते-जुलते चेहरे हैं दुश्मन भी दोस्त भी
क़ातिल किसे बताएँ मसीहा किसे कहें

हर ज़र्रा-ए-हक़ीर है हम-दोश मेहर-ओ-माह
इस पत्थरों के ढेर में हीरा किसे कहें

इतना शुऊ'र दे हमें ख़ल्लाक़ ख़ैर-ओ-शर
ख़ार-अो-ज़बूँ है कौन फ़रिश्ता किसे कहें

मिलना था जो नसीब से वो मिल गया 'ज़िया'
हसरत किसे बताएँ तमन्ना किसे कहें

  - Bakhtiyar Ziya

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakhtiyar Ziya

As you were reading Shayari by Bakhtiyar Ziya

Similar Writers

our suggestion based on Bakhtiyar Ziya

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari