dilbar kaha rafeeq kaha chaaragar kaha | दिलबर कहा रफ़ीक़ कहा चारागर कहा - Bakhtiyar Ziya

dilbar kaha rafeeq kaha chaaragar kaha
jo kuchh bhi tum ko ham ne kaha soch kar kaha

vo tum ki ham ko aaj bhi mukhlis na kah sake
aur ham ne saari umr tumhein mo'tabar kaha

ye raunqen jahaan ki mansoob tum se keen
phir un tajalliyon ko hareem-e-nazar kaha

pursish tiri fareb tasalli tiri fareb
vo dil ki baat thi jise duniya ka dar kaha

tere nukush-e-paa ko bataaya hai kahkashaan
teri gali ke zarroon ko shams-o-qamar kaha

sab mutmain the dekh ke aazaadiyaan meri
mere zameer ne mujhe be-baal-o-par kaha

un par to koi harf na aane diya ziya
jo guzri us ko gardish-e-shaam-o-sehr kaha

दिलबर कहा रफ़ीक़ कहा चारागर कहा
जो कुछ भी तुम को हम ने कहा सोच कर कहा

वो तुम कि हम को आज भी मुख़्लिस न कह सके
और हम ने सारी उम्र तुम्हें मो'तबर कहा

ये रौनक़ें जहान की मंसूब तुम से कीं
फिर उन तजल्लियों को हरीम-ए-नज़र कहा

पुर्सिश तिरी फ़रेब तसल्ली तिरी फ़रेब
वो दिल की बात थी जिसे दुनिया का डर कहा

तेरे नुक़ूश-ए-पा को बताया है कहकशाँ
तेरी गली के ज़र्रों को शम्स-ओ-क़मर कहा

सब मुतमइन थे देख के आज़ादियाँ मिरी
मेरे ज़मीर ने मुझे बे-बाल-ओ-पर कहा

उन पर तो कोई हर्फ़ न आने दिया 'ज़िया'
जो गुज़री उस को गर्दिश-ए-शाम-ओ-सहर कहा

- Bakhtiyar Ziya
0 Likes

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bakhtiyar Ziya

As you were reading Shayari by Bakhtiyar Ziya

Similar Writers

our suggestion based on Bakhtiyar Ziya

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari