na poocho wajh meri chashm-e-tar ki
miyaan phir gir gai deewaar ghar ki
ye maana dhul gaya suraj saroon se
mere aangan ki dhoop ab tak na sar ki
jabeen tar khushk-lab talvon mein chaale
yahi roodaad hai apne safar ki
badi neki izafi masale hain
hukoomat hai dilon par sirf dar ki
gumaanon ka muqaddar hai bhatkata
yaqeen ne har muhim duniya ki sar ki
na saaya hai na shaakhon mein samar hain
zaroorat kya hai ab sukhe shajar ki
jhulsati dhoop baarish sard raatein
b-har-soorat ziya ham ne basar ki
न पूछो वज्ह मेरी चश्म-ए-तर की
मियाँ फिर गिर गई दीवार घर की
ये माना धुल गया सूरज सरों से
मिरे आँगन की धूप अब तक न सर की
जबीं तर ख़ुश्क-लब तलवों में छाले
यही रूदाद है अपने सफ़र की
बदी नेकी इज़ाफ़ी मसअले हैं
हुकूमत है दिलों पर सिर्फ़ डर की
गुमानों का मुक़द्दर है भटकता
यक़ीं ने हर मुहिम दुनिया की सर की
न साया है न शाख़ों में समर हैं
ज़रूरत क्या है अब सूखे शजर की
झुलसती धूप बारिश सर्द रातें
ब-हर-सूरत 'ज़िया' हम ने बसर की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhtiyar Ziya
our suggestion based on Bakhtiyar Ziya
As you were reading Ujaala Shayari Shayari