aaj mail-b-karam ik but-e-ra'naai hai
saari duniya mere daaman mein simat aayi hai
husn masroof-e-tajalli-o-khud-aaraai hai
vo tamasha hi nahin khud bhi tamaashaai hai
aap se pehle kahaan gham se shanaasaai thi
mil gaye aap to har gham se shanaasaai hai
is tarah dekhna jaise mujhe dekha hi nahin
ye ada aap ki khud mazhar-e-yaktaai hai
chand kaliyaan hi nahin saara chaman apna hai
kaun tokega hamein kis ki qaza aayi hai
jis mein dahke hue sholay ki si taaseer na ho
vo ziya she'r nahin qaafiya-paimaai hai
आज माइल-ब-करम इक बुत-ए-रा'नाई है
सारी दुनिया मिरे दामन में सिमट आई है
हुस्न मसरूफ़-ए-तजल्ली-ओ-ख़ुद-आराई है
वो तमाशा ही नहीं ख़ुद भी तमाशाई है
आप से पहले कहाँ ग़म से शनासाई थी
मिल गए आप तो हर ग़म से शनासाई है
इस तरह देखना जैसे मुझे देखा ही नहीं
ये अदा आप की ख़ुद मज़हर-ए-यकताई है
चंद कलियाँ ही नहीं सारा चमन अपना है
कौन टोकेगा हमें किस की क़ज़ा आई है
जिस में दहके हुए शो'ले की सी तासीर न हो
वो 'ज़िया' शे'र नहीं क़ाफ़िया-पैमाई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhtiyar Ziya
our suggestion based on Bakhtiyar Ziya
As you were reading Eid Shayari Shayari