itna hai zindagi ka ta'alluq khushi ke saath
ek ajnabi ho jaise kisi ajnabi ke saath
suraj ufuq tak aate hi gehna gaya yahan
kuchh teergi bhi badhti rahi raushni ke saath
hukkaam ka sulook wahi hai awaam se
ibn-e-ziyaad ka tha jo ibn-e-ali ke saath
allah re taghaaful-e-chaara-garaan-e-waqt
sunte hain dil ki baat magar be-dili ke saath
tabqon mein rang-o-nasl ke uljha ke rakh diya
ye zulm aadmi ne kiya aadmi ke saath
इतना है ज़िंदगी का तअ'ल्लुक़ ख़ुशी के साथ
एक अजनबी हो जैसे किसी अजनबी के साथ
सूरज उफ़ुक़ तक आते ही गहना गया यहाँ
कुछ तीरगी भी बढ़ती रही रौशनी के साथ
हुक्काम का सुलूक वही है अवाम से
इब्न-ए-ज़ियाद का था जो इब्न-ए-अली के साथ
अल्लाह रे तग़ाफ़ुल-ए-चारा-गरान-ए-वक़्त
सुनते हैं दिल की बात मगर बे-दिली के साथ
तबक़ों में रंग-ओ-नस्ल के उलझा के रख दिया
ये ज़ुल्म आदमी ने किया आदमी के साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bakhtiyar Ziya
our suggestion based on Bakhtiyar Ziya
As you were reading Religion Shayari Shayari