subh ka jharna hamesha hansne waali auratein
jhutpute ki naddiyan khaamosh gahri auratein
mo'tadil kar deti hain ye sard mausam ka mizaaj
barf ke teelon pe chadhti dhoop jaisi auratein
sabz naaranji sunhari khatti meethi ladkiyaan
bhari jismoon waali tapke aam jaisi auratein
sadkon bazaaron makaanon daftaron mein raat din
laal neeli sabz neeli jaltee bujhti auratein
shehar mein ik baagh hai aur baagh mein taalaab hai
tairti hain is mein saaton rang waali auratein
saikron aisi dukanein hain jahaan mil jaayengi
dhaat ki patthar ki sheeshe ki rabar ki auratein
munjamid hain barf mein kuchh aag ke paikar abhi
maqbaro'n ki chadaren hain phool jaisi auratein
un ke andar pak raha hai waqt ka aatish-fishaan
jin pahaadon ko dhake hain barf jaisi auratein
aansuon ki tarah taare gir rahe hain arsh se
ro rahi hain aasmaanon ki akeli auratein
ghaur se suraj nikalte waqt dekho aasmaan
choomti hain kis ka maatha ujli lambi auratein
sabz sone ke pahaadon par qataar-andar-qataar
sar se sar jode khadi hain lambi seedhi auratein
waqai dono bahut mazloom hain naqqaad aur
maa kahe jaane ki hasrat mein sulagti auratein
सुब्ह का झरना हमेशा हँसने वाली औरतें
झुटपुटे की नद्दियाँ ख़ामोश गहरी औरतें
मो'तदिल कर देती हैं ये सर्द मौसम का मिज़ाज
बर्फ़ के टीलों पे चढ़ती धूप जैसी औरतें
सब्ज़ नारंजी सुनहरी खट्टी मीठी लड़कियाँ
भारी जिस्मों वाली टपके आम जैसी औरतें
सड़कों बाज़ारों मकानों दफ़्तरों में रात दिन
लाल नीली सब्ज़ नीली जलती बुझती औरतें
शहर में इक बाग़ है और बाग़ में तालाब है
तैरती हैं इस में सातों रंग वाली औरतें
सैकड़ों ऐसी दुकानें हैं जहाँ मिल जाएँगी
धात की पत्थर की शीशे की रबड़ की औरतें
मुंजमिद हैं बर्फ़ में कुछ आग के पैकर अभी
मक़बरों की चादरें हैं फूल जैसी औरतें
उन के अंदर पक रहा है वक़्त का आतिश-फ़िशाँ
जिन पहाड़ों को ढके हैं बर्फ़ जैसी औरतें
आँसुओं की तरह तारे गिर रहे हैं अर्श से
रो रही हैं आसमानों की अकेली औरतें
ग़ौर से सूरज निकलते वक़्त देखो आसमाँ
चूमती हैं किस का माथा उजली लम्बी औरतें
सब्ज़ सोने के पहाड़ों पर क़तार-अंदर-क़तार
सर से सर जोड़े खड़ी हैं लम्बी सीधी औरतें
वाक़ई दोनों बहुत मज़लूम हैं नक़्क़ाद और
माँ कहे जाने की हसरत में सुलगती औरतें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Festive Shayari Shayari