falak se chaand sitaaron se jaam lena hai
mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai
kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain
khuda ke saamne kaafir ka naam lena hai
mua'amla hai tira badtareen dushman se
mere aziz mohabbat se kaam lena hai
mehkati zulfon se khushboo chamakti aankh se dhoop
shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai
tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje mein
sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai
nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata
mujhe khuda se ghazal ka kalaam lena hai
bade saleeqe se noton mein us ko tulwa kar
ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai
फ़लक से चाँद सितारों से जाम लेना है
मुझे सहर से नई एक शाम लेना है
किसे ख़बर कि फ़रिश्ते ग़ज़ल समझते हैं
ख़ुदा के सामने काफ़िर का नाम लेना है
मुआ'मला है तिरा बदतरीन दुश्मन से
मिरे अज़ीज़ मोहब्बत से काम लेना है
महकती ज़ुल्फ़ों से ख़ुशबू चमकती आँख से धूप
शबों से जाम-ए-सहर का सलाम लेना है
तुम्हारी चाल की आहिस्तगी के लहजे में
सुख़न से दिल को मसलने का काम लेना है
नहीं मैं 'मीर' के दर पर कभी नहीं जाता
मुझे ख़ुदा से ग़ज़ल का कलाम लेना है
बड़े सलीक़े से नोटों में उस को तुल्वा कर
अमीर-ए-शहर से अब इंतिक़ाम लेना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bashir Badr
our suggestion based on Bashir Badr
As you were reading Revenge Shayari Shayari