zarroon mein kunmunaati hui kaayenaat hoon | ज़र्रों में कुनमुनाती हुई काएनात हूँ - Bashir Badr

zarroon mein kunmunaati hui kaayenaat hoon
jo muntazir hai jismoon ki main vo hayaat hoon

dono ko pyaasa maar raha hai koi yazid
ye zindagi husain hai aur main furaat hoon

neza zameen pe gaar ke ghode se kood ja
par main zameen pe aabla-pa khaali haath hoon

kaisa falak hoon jis pe samundar sawaar hai
suraj bhi mere sar pe hai main kaisi raat hoon

andhe kuein mein maar ke jo fenk aaye the
un bhaaiyon se kahiyo abhi tak hayaat hoon

aati hui train ke jo aage rakh gai
us maa se ye na kehna ba-qaid-e-hayaat hoon

bazaar ka naqeeb samajh kar mujhe na chhed
khaamosh rahne de main tire ghar ki baat hoon

ज़र्रों में कुनमुनाती हुई काएनात हूँ
जो मुंतज़िर है जिस्मों की मैं वो हयात हूँ

दोनों को प्यासा मार रहा है कोई यज़ीद
ये ज़िंदगी हुसैन है और मैं फ़ुरात हूँ

नेज़ा ज़मीं पे गाड़ के घोड़े से कूद जा
पर मैं ज़मीं पे आबला-पा ख़ाली हात हूँ

कैसा फ़लक हूँ जिस पे समुंदर सवार है
सूरज भी मेरे सर पे है मैं कैसी रात हूँ

अंधे कुएँ में मार के जो फेंक आए थे
उन भाइयों से कहियो अभी तक हयात हूँ

आती हुई ट्रेन के जो आगे रख गई
उस माँ से ये न कहना ब-क़ैद-ए-हयात हूँ

बाज़ार का नक़ीब समझ कर मुझे न छेड़
ख़ामोश रहने दे मैं तिरे घर की बात हूँ

- Bashir Badr
1 Like

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari