sau khuloos baaton mein sab karam khayaalon mein | सौ ख़ुलूस बातों में सब करम ख़यालों में

  - Bashir Badr

sau khuloos baaton mein sab karam khayaalon mein
bas zara wafa kam hai tere shehar waalon mein

pehli baar nazaron ne chaand bolte dekha
ham jawaab kya dete kho gaye sawaalon mein

raat teri yaadon ne dil ko is tarah chheda
jaise koi chutki le narm narm gaalon mein

yun kisi ki aankhon mein subh tak abhi the ham
jis tarah rahe shabnam phool ke pyaalon mein

meri aankh ke taare ab na dekh paoge
raat ke musaafir the kho gaye ujaalon mein

jaise aadhi shab ke ba'ad chaand neend mein chaunke
vo gulaab ki jumbish un siyaah baalon mein

सौ ख़ुलूस बातों में सब करम ख़यालों में
बस ज़रा वफ़ा कम है तेरे शहर वालों में

पहली बार नज़रों ने चाँद बोलते देखा
हम जवाब क्या देते खो गए सवालों में

रात तेरी यादों ने दिल को इस तरह छेड़ा
जैसे कोई चुटकी ले नर्म नर्म गालों में

यूँ किसी की आँखों में सुब्ह तक अभी थे हम
जिस तरह रहे शबनम फूल के प्यालों में

मेरी आँख के तारे अब न देख पाओगे
रात के मुसाफ़िर थे खो गए उजालों में

जैसे आधी शब के बा'द चाँद नींद में चौंके
वो गुलाब की जुम्बिश उन सियाह बालों में

  - Bashir Badr

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bashir Badr

As you were reading Shayari by Bashir Badr

Similar Writers

our suggestion based on Bashir Badr

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari