ek khwaahish meri ye bhi thi ki duniya dekhoon | एक ख़्वाहिश मेरी ये भी थी कि दुनिया देखूँ - Bhaskar Shukla

ek khwaahish meri ye bhi thi ki duniya dekhoon
tu magar saath nahin hai to bhala kya dekhoon

tera likkha jo padhoon to teri awaaz sunoon
teri awaaz sunoon to tera chehra dekhoon

raat chat par main sitaaron se gadhoon ik paikar
phir wahi naqsh khalaon mein ubharta dekhoon

theek thi unse mulaqaat magar theek hi thi
film itni nahin achhi ki dobara dekhoon

एक ख़्वाहिश मेरी ये भी थी कि दुनिया देखूँ
तू मगर साथ नहीं है तो भला क्या देखूँ

तेरा लिक्खा जो पढ़ूँ तो तेरी आवाज़ सुनूँ
तेरी आवाज़ सुनूँ तो तेरा चेहरा देखूँ

रात छत पर मैं सितारों से गढ़ूँ इक पैकर
फिर वही नक़्श खलाओं में उभरता देखूँ

ठीक थी उनसे मुलाकात मगर ठीक ही थी
फ़िल्म इतनी नहीं अच्छी कि दोबारा देखूँ

- Bhaskar Shukla
6 Likes

Raat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Bhaskar Shukla

As you were reading Shayari by Bhaskar Shukla

Similar Writers

our suggestion based on Bhaskar Shukla

Similar Moods

As you were reading Raat Shayari Shayari