dil todne ke kaam mein bebaak hokar kya mila
ai yaar tujhko ishq mein naapaak hokar kya mila
jo aankhon mein hi doobta tha ab ghamon mein dooba hai
bas doobta hi hai to phir tairaak hokar kya mila
ye naukri thodi na hai aadat lagi hai ik mujhe
varna mujhe yun raatbhar ghumnak hokar kya mila
yun to hazaaron aur bhi the raaste bas maut ke
phir ye batao ishq mein hi khaak hokar kya mila
bas ik yahi to tha jahaan pe sirf dil ka kaam tha
tujhko bhuvan phir ishq mein chaalaak hokar kya mila
दिल तोड़ने के काम में बेबाक होकर क्या मिला
ऐ यार तुझको इश्क़ में नापाक होकर क्या मिला
जो आँखों में ही डूबता था अब ग़मों में डूबा है
बस डूबता ही है तो फिर तैराक होकर क्या मिला
ये नौकरी थोड़ी न है आदत लगी है इक मुझे
वरना मुझे यूँ रातभर ग़मनाक होकर क्या मिला
यूँ तो हज़ारों और भी थे रास्ते बस मौत के
फिर ये बताओ इश्क़ में ही ख़ाक होकर क्या मिला
बस इक यही तो था जहाँ पे सिर्फ़ दिल का काम था
तुझको 'भुवन' फिर इश्क़ में चालाक होकर क्या मिला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Bhuwan Singh
our suggestion based on Bhuwan Singh
As you were reading Maut Shayari Shayari