baat meri kabhi sooni hi nahin | बात मेरी कभी सुनी ही नहीं

  - Dagh Dehlvi

baat meri kabhi sooni hi nahin
jaante vo buri bhali hi nahin

dil-lagi un ki dil-lagi hi nahin
ranj bhi hai faqat hasi hi nahin

lutf-e-may tujh se kya kahoon zaahid
haaye kam-bakht tu ne pee hi nahin

ud gai yun wafa zamaane se
kabhi goya kisi mein thi hi nahin

jaan kya doon ki jaanta hoon main
tum ne ye cheez le ke di hi nahin

ham to dushman ko dost kar lete
par karein kya tiri khushi hi nahin

ham tiri aarzoo pe jeete hain
ye nahin hai to zindagi hi nahin

dil-lagi dil-lagi nahin naaseh
tere dil ko abhi lagi hi nahin

daagh kyun tum ko bewafa kehta
vo shikaayat ka aadmi hi nahin

बात मेरी कभी सुनी ही नहीं
जानते वो बुरी भली ही नहीं

दिल-लगी उन की दिल-लगी ही नहीं
रंज भी है फ़क़त हँसी ही नहीं

लुत्फ़-ए-मय तुझ से क्या कहूँ ज़ाहिद
हाए कम-बख़्त तू ने पी ही नहीं

उड़ गई यूँ वफ़ा ज़माने से
कभी गोया किसी में थी ही नहीं

जान क्या दूँ कि जानता हूँ मैं
तुम ने ये चीज़ ले के दी ही नहीं

हम तो दुश्मन को दोस्त कर लेते
पर करें क्या तिरी ख़ुशी ही नहीं

हम तिरी आरज़ू पे जीते हैं
ये नहीं है तो ज़िंदगी ही नहीं

दिल-लगी दिल-लगी नहीं नासेह
तेरे दिल को अभी लगी ही नहीं

'दाग़' क्यूँ तुम को बेवफ़ा कहता
वो शिकायत का आदमी ही नहीं

  - Dagh Dehlvi

Tamanna Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dagh Dehlvi

As you were reading Shayari by Dagh Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Dagh Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Tamanna Shayari Shayari