tasalli kar ke hi aawaaz dena | तसल्ली कर के ही आवाज़ देना

  - Danish Naqvi

tasalli kar ke hi aawaaz dena
jise bhi aakhri aawaaz dena

isee lehje ki farmaish hai meri
mujhe bilkul yahi aawaaz dena

tumhaari samt hai saari tavazzoh
yuhi chaaho kabhi aawaaz dena

mukar jaate ho phir tum poochne par
bulaana ho tabhi aawaaz dena

ye aawaazon ka feekaapan to jaaye
zara ras gholti aawaaz dena

hamaara haq bhi hai tum par yaqeenan
hamein bhi zindagi aawaaz dena

तसल्ली कर के ही आवाज़ देना
जिसे भी आख़री आवाज़ देना

इसी लहजे की फरमाइश है मेरी
मुझे बिल्कुल यही आवाज़ देना

तुम्हारी सम्त है सारी तवज़्ज़ोह
अग़र चाहो कभी आवाज़ देना

मुकर जाते हो फिर तुम पूछने पर
बुलाना हो तभी आवाज़ देना

ये आवाज़ों का फीकापन तो जाये
ज़रा रस घोलती आवाज़ देना

हमारा हक़ भी है तुम पर यक़ीनन
हमें भी ज़िन्दगी आवाज़ देना

  - Danish Naqvi

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Danish Naqvi

As you were reading Shayari by Danish Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Danish Naqvi

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari