maahol munaasib ho to oopar nahi jaate | माहौल मुनासिब हो तो ऊपर नही जाते

  - Danish Naqvi

maahol munaasib ho to oopar nahi jaate
ham taza ghutan chhod kar chat par nahi jaate

dekho mujhe ab meri jagah se na hilaana
phir tum mujhe tarteeb se rakh kar nahi jaate

badnaam hai sadiyon se kaanto ki wajah se
aadat se magar aaj bhi kinkar nahi jaate

jis din se shikaari ne ada ki koi mannat
darbaar par us din se kabootar nahi jaate

so tum mujhe hairatjada aankhon se na dekho
kuchh log sambhal jaate hai sab mar nahi jaate

माहौल मुनासिब हो तो ऊपर नही जाते
हम ताज़ा घुटन छोड़ कर छत पर नही जाते

देखो मुझे अब मेरी जगह से न हिलाना
फिर तुम मुझे तरतीब से रख कर नही जाते

बदनाम है सदियों से काँटो की वजह से
आदत से मग़र आज भी किंकर नही जाते

जिस दिन से शिकारी ने अदा की कोई मन्नत
दरबार पर उस दिन से कबूतर नही जाते

सो तुम मुझे हैरतजदा आँखों से न देखो
कुछ लोग सम्भल जाते है सब मर नही जाते

  - Danish Naqvi

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Danish Naqvi

As you were reading Shayari by Danish Naqvi

Similar Writers

our suggestion based on Danish Naqvi

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari