gham ko wajh-e-hayaat kahte hain
aap bhi khoob baat kahte hain
aap se hai vo ya humeen se hai
ham jise kaayenaat kahte hain
kor-zauqi ki intiha ye hai
log din ko bhi raat kahte hain
ye galat kya hai tajarbe ko agar
haasil-e-haadsaat kahte hain
bach nikalna fareb-e-hasti se
bas isee ko najaat kahte hain
jis mohabbat pe hai madaar-e-hayaat
us ko bhi be-sabaat kahte hain
vo mere she'r hi to hain shola
jin ko qand-o-nabaat kahte hain
ग़म को वज्ह-ए-हयात कहते हैं
आप भी ख़ूब बात कहते हैं
आप से है वो या हमीं से है
हम जिसे काएनात कहते हैं
कोर-ज़ौक़ी की इंतिहा ये है
लोग दिन को भी रात कहते हैं
ये ग़लत क्या है तजरबे को अगर
हासिल-ए-हादसात कहते हैं
बच निकलना फ़रेब-ए-हस्ती से
बस इसी को नजात कहते हैं
जिस मोहब्बत पे है मदार-ए-हयात
उस को भी बे-सबात कहते हैं
वो मिरे शे'र ही तो हैं 'शो'ला'
जिन को क़ंद-ओ-नबात कहते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Davarka Das Shola
our suggestion based on Davarka Das Shola
As you were reading Baaten Shayari Shayari