aazar raha hai tesha mere khaandaan mein | आज़र' रहा है तेशा मिरे ख़ानदान में - Dilawar Ali Aazar

aazar raha hai tesha mere khaandaan mein
paikar dikhaai dete hain mujh ko chataan mein

sab apne apne taq mein tharraa ke rah gaye
kuch to kaha hawa ne charaagon ke kaan mein

main apni justuju mein yahan tak pahunch gaya
ab aaina hi rah gaya hai darmiyaan mein

manzar bhatk rahe the dar-o-baam ke qareeb
main so raha tha khwaab ke pichhle makaan mein

lazzat mili hai mujh ko aziyyat mein is liye
ehsaas kheenchana tha badan ki kamaan mein

nikli nahin hai dil se mere bad-dua kabhi
rakhe khuda adoo ko bhi apni amaan mein

aazar usi ko log na kahte hon aftaab
ik daagh sa chamakta hai jo aasmaan mein

आज़र' रहा है तेशा मिरे ख़ानदान में
पैकर दिखाई देते हैं मुझ को चटान में

सब अपने अपने ताक़ में थर्रा के रह गए
कुछ तो कहा हवा ने चराग़ों के कान में

मैं अपनी जुस्तुजू में यहाँ तक पहुँच गया
अब आइना ही रह गया है दरमियान में

मंज़र भटक रहे थे दर-ओ-बाम के क़रीब
मैं सो रहा था ख़्वाब के पिछले मकान में

लज़्ज़त मिली है मुझ को अज़िय्यत में इस लिए
एहसास खींचना था बदन की कमान में

निकली नहीं है दिल से मिरे बद-दुआ' कभी
रक्खे ख़ुदा अदू को भी अपनी अमान में

'आज़र' उसी को लोग न कहते हों आफ़्ताब
इक दाग़ सा चमकता है जो आसमान में

- Dilawar Ali Aazar
0 Likes

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilawar Ali Aazar

As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar

Similar Writers

our suggestion based on Dilawar Ali Aazar

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari