bojh uthaaye hue din raat kahaan tak jaata | बोझ उठाए हुए दिन रात कहाँ तक जाता

  - Dilawar Ali Aazar

bojh uthaaye hue din raat kahaan tak jaata
zindagaani mein tire saath kahaan tak jaata

mukhtasar ye ki main bosa bhi ghaneemat samjha
yun bhi duraan-e-mulaqaat kahaan tak jaata

subh hote hi sabhi ghar ko ravana honge
qissa-e-daur-e-kharaabaat kahaan tak jaata

thak gaya tha main tire naam ko japte japte
le ke honton pe yahi baat kahaan tak jaata

chaand taare to mere bas mein nahin hain aazar
phool laaya hoon mera haath kahaan tak jaata

बोझ उठाए हुए दिन रात कहाँ तक जाता
ज़िंदगानी में तिरे साथ कहाँ तक जाता

मुख़्तसर ये कि मैं बोसा भी ग़नीमत समझा
यूँ भी दौरान-ए-मुलाक़ात कहाँ तक जाता

सुब्ह होते ही सभी घर को रवाना होंगे
क़िस्सा-ए-दौर-ए-ख़राबात कहाँ तक जाता

थक गया था मैं तिरे नाम को जपते जपते
ले के होंटों पे यही बात कहाँ तक जाता

चाँद तारे तो मिरे बस में नहीं हैं 'आज़र'
फूल लाया हूँ मिरा हाथ कहाँ तक जाता

  - Dilawar Ali Aazar

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilawar Ali Aazar

As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar

Similar Writers

our suggestion based on Dilawar Ali Aazar

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari