lamha lamha wus'at-e-kaun-o-makaan ki sair ki | लम्हा लम्हा वुसअत-ए-कौन-ओ-मकाँ की सैर की

  - Dilawar Ali Aazar

lamha lamha wus'at-e-kaun-o-makaan ki sair ki
aa gaya so khoob main ne khaak-daan ki sair ki

ek lamhe ke liye tanhaa nahin hone diya
khud ko apne saath rakha jis jahaan ki sair ki

tujh se mil kar aaj andaaza hua hai zindagi
pehle jitni ki vo goya raayegaan ki sair ki

neend se jaage hain koi khwaab bhi dekha hai kya
dekha hai to boliye shab-bhar kahaan ki sair ki

thak gaya tha main badan mein rahte rahte ek din
bhag nikla aur ja kar aasmaan ki sair ki

yaad hai ik ek gosha naqsh hai dil par hanooz
sair to vo hai jo shehar-e-dil-baraan ki sair ki

phool hairat se hamein dekha kiye waqt-e-visaal
gul-badan ke saath aazar gulistaan ki sair ki

लम्हा लम्हा वुसअत-ए-कौन-ओ-मकाँ की सैर की
आ गया सो ख़ूब मैं ने ख़ाक-दाँ की सैर की

एक लम्हे के लिए तन्हा नहीं होने दिया
ख़ुद को अपने साथ रक्खा जिस जहाँ की सैर की

तुझ से मिल कर आज अंदाज़ा हुआ है ज़िंदगी
पहले जितनी की वो गोया राएगाँ की सैर की

नींद से जागे हैं कोई ख़्वाब भी देखा है क्या
देखा है तो बोलिए शब-भर कहाँ की सैर की

थक गया था मैं बदन में रहते रहते एक दिन
भाग निकला और जा कर आसमाँ की सैर की

याद है इक एक गोशा नक़्श है दिल पर हनूज़
सैर तो वो है जो शहर-ए-दिल-बराँ की सैर की

फूल हैरत से हमें देखा किए वक़्त-ए-विसाल
गुल-बदन के साथ 'आज़र' गुलिस्ताँ की सैर की

  - Dilawar Ali Aazar

Rose Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilawar Ali Aazar

As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar

Similar Writers

our suggestion based on Dilawar Ali Aazar

Similar Moods

As you were reading Rose Shayari Shayari