saath daryaon ka paani hai mere kooze mein | सात दरियाओं का पानी है मिरे कूज़े में

  - Dilawar Ali Aazar

saath daryaon ka paani hai mere kooze mein
band ik taaza kahaani hai mere kooze mein

tum use paani samjhte ho to samjho sahab
ye samundar ki nishaani hai mere kooze mein

mere aabaa ne jawaani mein mujhe saunpa tha
mere aabaa ki jawaani hai mere kooze mein

dekhne waalo naye naqsh milenge tum ko
sochne waalo giraani hai mere kooze mein

jaane kis khaak se ye zarf hua hai ta'aamir
jaane kis ghaat ka paani hai mere kooze mein

aan ki aan guzarta hai zamaana is par
waqt ki naql-e-makaani hai mere kooze mein

chaaron samton mein koi shay bhi agar hai maujood
is ne vo la ke giraani hai mere kooze mein

qarz hai mujh pe jo ik aks-e-tamanna aazar
us ne kya shakl banaani hai mere kooze mein

सात दरियाओं का पानी है मिरे कूज़े में
बंद इक ताज़ा कहानी है मिरे कूज़े में

तुम उसे पानी समझते हो तो समझो साहब
ये समुंदर की निशानी है मिरे कूज़े में

मेरे आबा ने जवानी में मुझे सौंपा था
मेरे आबा की जवानी है मिरे कूज़े में

देखने वालो नए नक़्श मिलेंगे तुम को
सोचने वालो गिरानी है मिरे कूज़े में

जाने किस ख़ाक से ये ज़र्फ़ हुआ है ता'मीर
जाने किस घाट का पानी है मिरे कूज़े में

आन की आन गुज़रता है ज़माना इस पर
वक़्त की नक़्ल-ए-मकानी है मिरे कूज़े में

चारों सम्तों में कोई शय भी अगर है मौजूद
इस ने वो ला के गिरानी है मिरे कूज़े में

क़र्ज़ है मुझ पे जो इक अक्स-ए-तमन्ना 'आज़र'
उस ने क्या शक्ल बनानी है मिरे कूज़े में

  - Dilawar Ali Aazar

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilawar Ali Aazar

As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar

Similar Writers

our suggestion based on Dilawar Ali Aazar

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari