zameen apne hi mehwar se hat rahi hogi | ज़मीन अपने ही मेहवर से हट रही होगी

  - Dilawar Ali Aazar

zameen apne hi mehwar se hat rahi hogi
vo din bhi door nahin zeest chhat rahi hogi

badha raha hai ye ehsaas meri dhadkan ko
ghadi mein sooi ki raftaar ghat rahi hogi

main jaan loonga ki ab saans ghutne waala hai
hare darakht se jab shaakh kat rahi hogi

naye safar pe ravana kiya gaya hai tumhein
tumhaare paanv se dharti lipt rahi hogi

galat kaha tha kisi ne ye gaav waalon se
chalo ki shehar mein khairaat bat rahi hogi

falak ki samt uchaali thi jal-paree main ne
sitaare haath mein le kar palat rahi hogi

badan mein phail rahi hai ye kaayenaat aazar
hamaari aankh ki putli simat rahi hogi

ज़मीन अपने ही मेहवर से हट रही होगी
वो दिन भी दूर नहीं ज़ीस्त छट रही होगी

बढ़ा रहा है ये एहसास मेरी धड़कन को
घड़ी में सूई की रफ़्तार घट रही होगी

मैं जान लूँगा कि अब साँस घुटने वाला है
हरे दरख़्त से जब शाख़ कट रही होगी

नए सफ़र पे रवाना किया गया है तुम्हें
तुम्हारे पाँव से धरती लिपट रही होगी

ग़लत कहा था किसी ने ये गाँव वालों से
चलो कि शहर में ख़ैरात बट रही होगी

फ़लक की सम्त उछाली थी जल-परी मैं ने
सितारे हाथ में ले कर पलट रही होगी

बदन में फैल रही है ये काएनात 'आज़र'
हमारी आँख की पुतली सिमट रही होगी

  - Dilawar Ali Aazar

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilawar Ali Aazar

As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar

Similar Writers

our suggestion based on Dilawar Ali Aazar

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari