mumkin hai ki milte koi dam dono kinaare | मुमकिन है कि मिलते कोई दम दोनों किनारे - Dilawar Ali Aazar

mumkin hai ki milte koi dam dono kinaare
ik mauj ke muhtaaj the hum dono kinaare

yun aankh jhapakta nahin bahta hua paani
manzar mein na ho jaayen bahm dono kinaare

aabaad hamesha hi rahega ye samundar
rakhte hain machheron ka bharam dono kinaare

ta-umr kisi mauja-e-khush-rau ki havas mein
bedaar rahe dam hama-dam dono kinaare

khulti hai yahan aa ke mere khwaab ki wusa'at
hote hain meri aankh mein zam dono kinaare

ye fasla mitti se kabhi tay nahin hoga
dariya ki hain wusa'at pe qasam dono kinaare

sab sair ko niklengay sar-e-saahil-e-har-khwaab
sayyaahon ke choomenge qadam dono kinaare

kashti ki tarah umr khizr-geer hai aazar
hasti ke hain maujood-o-adam dono kinaare

मुमकिन है कि मिलते कोई दम दोनों किनारे
इक मौज के मुहताज थे हम दोनों किनारे

यूँ आँख झपकता नहीं बहता हुआ पानी
मंज़र में न हो जाएँ बहम दोनों किनारे

आबाद हमेशा ही रहेगा ये समुंदर
रखते हैं मछेरों का भरम दोनों किनारे

ता-उम्र किसी मौजा-ए-ख़ुश-रौ की हवस में
बेदार रहे दम हमा-दम दोनों किनारे

खुलती है यहाँ आ के मिरे ख़्वाब की वुसअ'त
होते हैं मिरी आँख में ज़म दोनों किनारे

ये फ़ासला मिट्टी से कभी तय नहीं होगा
दरिया की हैं वुसअ'त पे क़सम दोनों किनारे

सब सैर को निकलेंगे सर-ए-साहिल-ए-हर-ख़्वाब
सय्याहों के चूमेंगे क़दम दोनों किनारे

कश्ती की तरह उम्र ख़िज़र-गीर है 'आज़र'
हस्ती के हैं मौजूद-ओ-अदम दोनों किनारे

- Dilawar Ali Aazar
0 Likes

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilawar Ali Aazar

As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar

Similar Writers

our suggestion based on Dilawar Ali Aazar

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari