khud mein khilte hue manzar se numoodaar hua
vo jazeera jo samundar se numoodaar hua
meri tanhaai ne paida kiye saaye ghar mein
koi deewaar koi dar se numoodaar hua
chaaron itaraaf mere aaine rakhe gaye the
main hi main apne barabar se numoodaar hua
aaj ki raat guzaari hai diye ne mujh mein
aaj ka din mere andar se numoodaar hua
kya ajab naqsh hai vo naqsh jo is duniya ke
kahi andar kahi baahar se numoodaar hua
ek sholay ki lapak noor mein dhal kar aayi
ek kirdaar bahattar se numoodaar hua
haq ki pehchaan hui khalk ko aazar us waqt
jab ali aap ke bistar se numoodaar hua
ख़ुद में खिलते हुए मंज़र से नुमूदार हुआ
वो जज़ीरा जो समुंदर से नुमूदार हुआ
मेरी तन्हाई ने पैदा किए साए घर में
कोई दीवार कोई दर से नुमूदार हुआ
चारों अतराफ़ मिरे आइने रक्खे गए थे
मैं ही मैं अपने बराबर से नुमूदार हुआ
आज की रात गुज़ारी है दिए ने मुझ में
आज का दिन मिरे अंदर से नुमूदार हुआ
क्या अजब नक़्श है वो नक़्श जो इस दुनिया के
कहीं अंदर कहीं बाहर से नुमूदार हुआ
एक शो'ले की लपक नूर में ढल कर आई
एक किरदार बहत्तर से नुमूदार हुआ
हक़ की पहचान हुई ख़ल्क़ को 'आज़र' उस वक़्त
जब अली आप के बिस्तर से नुमूदार हुआ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar
our suggestion based on Dilawar Ali Aazar
As you were reading Wahshat Shayari Shayari