daroon-e-khwaab naya ik jahaan nikalta hai | दरून-ए-ख़्वाब नया इक जहाँ निकलता है

  - Dilawar Ali Aazar

daroon-e-khwaab naya ik jahaan nikalta hai
zameen ki tah se koi aasmaan nikalta hai

bhala nazar bhi vo aaye to kis tarah aaye
mera sitaara pas-e-kahkashaan nikalta hai

hawa-e-shauq ye manzil se ja ke kah dena
zara si der hai bas kaarwaan nikalta hai

meri zameen pe suraj b-waqt-e-subh o masaa
nikal to aata hai lekin kahaan nikalta hai

ye jis vujood pe tum naaz kar rahe ho bahut
yahi vujood bahut raayegaan nikalta hai

maqaam-e-wasl ik aisa maqaam hai ki jahaan
yaqeen karte hain jis par gumaan nikalta hai

badan ko chhod hi jaana hai rooh ne aazar
har ik charaagh se aakhir dhuaan nikalta hai

दरून-ए-ख़्वाब नया इक जहाँ निकलता है
ज़मीं की तह से कोई आसमाँ निकलता है

भला नज़र भी वो आए तो किस तरह आए
मिरा सितारा पस-ए-कहकशाँ निकलता है

हवा-ए-शौक़ ये मंज़िल से जा के कह देना
ज़रा सी देर है बस कारवाँ निकलता है

मिरी ज़मीन पे सूरज ब-वक़्त-ए-सुब्ह ओ मसा
निकल तो आता है लेकिन कहाँ निकलता है

ये जिस वजूद पे तुम नाज़ कर रहे हो बहुत
यही वजूद बहुत राएगाँ निकलता है

मक़ाम-ए-वस्ल इक ऐसा मक़ाम है कि जहाँ
यक़ीन करते हैं जिस पर गुमाँ निकलता है

बदन को छोड़ ही जाना है रूह ने 'आज़र'
हर इक चराग़ से आख़िर धुआँ निकलता है

  - Dilawar Ali Aazar

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilawar Ali Aazar

As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar

Similar Writers

our suggestion based on Dilawar Ali Aazar

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari