yun deedaa-e-khoon-baar ke manzar se utha main
toofaan utha mujh mein samundar se utha main
uthne ke liye qasd kiya main ne bala ka
ab log ye kahte hain muqaddar se utha main
pehle to khud-o-khaal banaaye sar-e-qirtaas
phir apne khud-o-khaal ke andar se utha main
ik aur tarah mujh pe khuli chashm-e-tamaasha
ik aur tajalli ke barabar se utha main
hai teri meri zaat ki yaktaai barabar
ghaaeb se to ubhara to mayassar se utha main
kya jaane kahaan jaane ki jaldi thi dam-e-fajr
suraj se zara pehle hi bistar se utha main
pathraane lage the mere aa'saab koi dam
khaamosh nigaahon ke barabar se utha main
ik aag mere jism mein mahfooz thi aazar
khas-khaana-e-zulmaat ke andar se utha main
यूँ दीदा-ए-ख़ूँ-बार के मंज़र से उठा मैं
तूफ़ान उठा मुझ में समुंदर से उठा मैं
उठने के लिए क़स्द किया मैं ने बला का
अब लोग ये कहते हैं मुक़द्दर से उठा मैं
पहले तो ख़द-ओ-ख़ाल बनाए सर-ए-क़िर्तास
फिर अपने ख़द-ओ-ख़ाल के अंदर से उठा मैं
इक और तरह मुझ पे खुली चश्म-ए-तमाशा
इक और तजल्ली के बराबर से उठा मैं
है तेरी मिरी ज़ात की यकताई बराबर
ग़ाएब से तो उभरा तो मयस्सर से उठा मैं
क्या जाने कहाँ जाने की जल्दी थी दम-ए-फ़ज्र
सूरज से ज़रा पहले ही बिस्तर से उठा मैं
पथराने लगे थे मिरे आ'साब कोई दम
ख़ामोश निगाहों के बराबर से उठा मैं
इक आग मिरे जिस्म में महफ़ूज़ थी 'आज़र'
ख़स-खाना-ए-ज़ुलमात के अंदर से उठा मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar
our suggestion based on Dilawar Ali Aazar
As you were reading Aag Shayari Shayari