bana raha tha koi aab o khaak se kuchh aur | बना रहा था कोई आब ओ ख़ाक से कुछ और

  - Dilawar Ali Aazar

bana raha tha koi aab o khaak se kuchh aur
utha liya phir achaanak hi chaak se kuchh aur

jala ke baith gaya main vo aakhiri tasveer
to naqsh ubharne lage us ki raakh se kuchh aur

bas apne aap se kuchh der ham-kalaam raho
nahin hai faaeda hijr o firaq se kuchh aur

hamaari faal hamaare hi haath se nikli
bana hai zaaicha par ittifaq se kuchh aur

wahi sitaara-numa ik charaagh hai aazar
mera khayal tha niklega taq se kuchh aur

बना रहा था कोई आब ओ ख़ाक से कुछ और
उठा लिया फिर अचानक ही चाक से कुछ और

जला के बैठ गया मैं वो आख़िरी तस्वीर
तो नक़्श उभरने लगे उस की राख से कुछ और

बस अपने आप से कुछ देर हम-कलाम रहो
नहीं है फ़ाएदा हिज्र ओ फ़िराक़ से कुछ और

हमारी फ़ाल हमारे ही हाथ से निकली
बना है ज़ाइचा पर इत्तिफ़ाक़ से कुछ और

वही सितारा-नुमा इक चराग़ है 'आज़र'
मिरा ख़याल था निकलेगा ताक़ से कुछ और

  - Dilawar Ali Aazar

Khyaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilawar Ali Aazar

As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar

Similar Writers

our suggestion based on Dilawar Ali Aazar

Similar Moods

As you were reading Khyaal Shayari Shayari