aankh mein khwaab zamaane se alag rakha hai | आँख में ख़्वाब ज़माने से अलग रक्खा है - Dilawar Ali Aazar

aankh mein khwaab zamaane se alag rakha hai
aks ko aaina-khaane se alag rakha hai

ghar mein gul-daan sajaaye hain tiri aamad par
aur ik phool bahaane se alag rakha hai

kuch hawa mein bhi chalaane ke liye rakha jaaye
is liye teer nishaane se alag rakha hai

us ke honton ko nahin aankh ko di hai tarjeeh
pyaas ko pyaas bujhaane se alag rakha hai

ghair-mumkin hai kisi aur ke haath aa jaaye
vo khazana jo khazaane se alag rakha hai

ik hawa si kahi baandhi hai chhupaane ke liye
ik tamasha sa lagaane se alag rakha hai

khwaab hi khwaab mein ta'aamir kiya hai aazar
ghar ko buniyaad uthaane se alag rakha hai

आँख में ख़्वाब ज़माने से अलग रक्खा है
अक्स को आइना-ख़ाने से अलग रक्खा है

घर में गुल-दान सजाए हैं तिरी आमद पर
और इक फूल बहाने से अलग रक्खा है

कुछ हवा में भी चलाने के लिए रक्खा जाए
इस लिए तीर निशाने से अलग रक्खा है

उस के होंटों को नहीं आँख को दी है तरजीह
प्यास को प्यास बुझाने से अलग रक्खा है

ग़ैर-मुमकिन है किसी और के हाथ आ जाए
वो ख़ज़ाना जो ख़ज़ाने से अलग रक्खा है

इक हवा सी कहीं बाँधी है छुपाने के लिए
इक तमाशा सा लगाने से अलग रक्खा है

ख़्वाब ही ख़्वाब में ता'मीर किया है 'आज़र'
घर को बुनियाद उठाने से अलग रक्खा है

- Dilawar Ali Aazar
0 Likes

Hawa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilawar Ali Aazar

As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar

Similar Writers

our suggestion based on Dilawar Ali Aazar

Similar Moods

As you were reading Hawa Shayari Shayari