aks manzar mein palatne ke liye hota hai | अक्स मंज़र में पलटने के लिए होता है

  - Dilawar Ali Aazar

aks manzar mein palatne ke liye hota hai
aaina gard se atne ke liye hota hai

shaam hoti hai to hota hai mera dil betaab
aur ye tujh se lipatne ke liye hota hai

ye jo ham dekh rahe hain kai duniyaaon ko
aisa failao simatne ke liye hota hai

ilm jitna bhi ho kam padta hai insaano ko
rizq jitna bhi ho batne ke liye hota hai

saaye ko shaamil-e-qaamat na karo aakhir-kaar
badh bhi jaaye to ye ghatne ke liye hota hai

goya duniya ki zaroorat nahin darveshon ko
ya'ni kashkol ulatne ke liye hota hai

matla-e-subh-e-numoo saaf to hoga aazar
abr chaaya hua chhatne ke liye hota hai

अक्स मंज़र में पलटने के लिए होता है
आईना गर्द से अटने के लिए होता है

शाम होती है तो होता है मिरा दिल बेताब
और ये तुझ से लिपटने के लिए होता है

ये जो हम देख रहे हैं कई दुनियाओं को
ऐसा फैलाओ सिमटने के लिए होता है

इल्म जितना भी हो कम पड़ता है इंसानों को
रिज़्क़ जितना भी हो बटने के लिए होता है

साए को शामिल-ए-क़ामत न करो आख़िर-कार
बढ़ भी जाए तो ये घटने के लिए होता है

गोया दुनिया की ज़रूरत नहीं दरवेशों को
या'नी कश्कोल उलटने के लिए होता है

मतला-ए-सुब्ह-ए-नुमू साफ़ तो होगा 'आज़र'
अब्र छाया हुआ छटने के लिए होता है

  - Dilawar Ali Aazar

Education Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dilawar Ali Aazar

As you were reading Shayari by Dilawar Ali Aazar

Similar Writers

our suggestion based on Dilawar Ali Aazar

Similar Moods

As you were reading Education Shayari Shayari